Browse Best Cute Love Poems, we have a special collection of superb, one line and short Cute Love Poems. Get Beautiful Cute Love Poems.
Toot jaty hain sabhi reshty magar
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh sai na melny ka yaqeen
Tujhe pa laine ki dua apni jagah
Aankhon mai ansowon ko ubharne na dia
Matti ke motiyon ko bikharne na dia
Jis rah pe pare the tere qadmo’n ke neshan
Us rah se kesi ko guzarne na dia
Hansna hamara kesi ko gawar nahi hota
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota.
Melty hain boht log es tanga zindagi mai
Par har koi tum sa pyara nahi hota
Na jane kion maire dil ko yai ehsaas hota hai
Tu mujh se door bhi ho tu pas hota hai
Maire dil-e-nadan ne tujh ko itna chaha
Tumhare “SMS” se jeewan ka ehsaas hota hai
Ussey chaha bhi tu ezhaar na karna aya
Kat gayi umar sari magar hamin pyar na karna aya
Us ne manga bhi kuch tu judayi mangi
Owr hamain inkaar na karna aya
Dil ki lagi kia hai zara muskura ke dekh
Aansu baha raha hai, kabhi dil jala ke dekh
Parwana jal raha hai magar jal raha hai kion
Yai raaz jan-na hai tu khud ko jala ke dekh
Wo tu khushbo hai hawawon mai bikhar jayega
Masla tu phool ka hai, phool kidhar jayega.
Hum tu samjhe the ek zakham hai bhar jayega
Kia khabar thi ke rag-e-jaan mai utar jayega
Kal waqt mela tu zulfain tairi suljha donga
Aaj uljha hon zara waqt ko suljhane mai
Yun sulajh jati hain uljhi zulfain
Umar kat jati hai waqat ko suljhane mai
Jab howa hai wo khwaab ki tarah
Zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah
Khushbo ke qalam se shayed lekha tha us ne
Khath ka har lafz mehk raha hai gulaab ki tarah
Tairi muskan hamari kamzori hai hai
Kahna para hamari majbori hai
Tum kion nahi samajty hamari khamoshi ko
Kia khamoshi ko zuban daina zarori hai